tere kuche mein jo hum ba-dida-e-tar baiThte
tere kūche meñ jo ham bā-dīda-e-tar baiThte
josh-e-tūfāñ se zamīñ meñ saiñkaḌoñ ghar baiThte
chārāgar bhī ham-nashīñ thā raat ko nāseh bhī thā
varna betābi se ham kyā jaane kyā kar baiThte
ho ga.ī mahfil tirī kyā be-adab be-qā.ida
jo khaḌe rahte the vo ab haiñ barābar baiThte
jab kiyā shikva ki mahfil meñ rahe ham tum se duur
us ne jhuñjhlā kar kahā kyā mere sar par baiThte
jis kī qismat meñ ho gardish kis tarah baiThe kahīñ
ham se āvāra tire kūche meñ kyūñkar baiThte
'dāġh' tum ne kyoñ kiyā hai naam vahshat kā ḳharāb
is se to behtar yahī thā chain se ghar baiThte
tere kuche mein jo hum ba-dida-e-tar baiThte
josh-e-tufan se zamin mein sainkaDon ghar baiThte
chaaragar bhi ham-nashin tha raat ko naseh bhi tha
warna betabi se hum kya jaane kya kar baiThte
ho gai mahfil teri kya be-adab be-qaida
jo khaDe rahte the wo ab hain barabar baiThte
jab kiya shikwa ki mahfil mein rahe hum tum se dur
us ne jhunjhla kar kaha kya mere sar par baiThte
jis ki qismat mein ho gardish kis tarah baiThe kahin
hum se aawara tere kuche mein kyunkar baiThte
'dagh' tum ne kyon kiya hai nam wahshat ka KHarab
is se to behtar yahi tha chain se ghar baiThte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.