tere mere bich rahi ab pahle jaisi baat kahan
tere mere biich rahī ab pahle jaisī baat kahāñ
pahle se jazbāt kahāñ pahle jaise lamhāt kahāñ
yaad aatā hai vo sāvan jab ham tum bhīgā karte the
bārish ab bhī hotī hai par hotī ab barsāt kahāñ
rātoñ ko pahlū meñ aa tum pyaar ke naġhma gaate the
sundar surma.ī shāmoñ sī ab jānāñ koī raat kahāñ
gar thā vasl kā daur kabhī to hijr bhī honā lāzim thā
mausam ke bhī yaksar rahte ik jaise hālāt kahāñ
tere mere bich rahi ab pahle jaisi baat kahan
pahle se jazbaat kahan pahle jaise lamhat kahan
yaad aata hai wo sawan jab hum tum bhiga karte the
barish ab bhi hoti hai par hoti ab barsat kahan
raaton ko pahlu mein aa tum pyar ke naghma gate the
sundar surmai shamon si ab jaanan koi raat kahan
gar tha wasl ka daur kabhi to hijr bhi hona lazim tha
mausam ke bhi yaksar rahte ek jaise haalat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.