tujhse kya nisbat ki the laila ke kale hath panw
tujh se kyā nisbat ki the lailā ke kaale haath paañv
haq ne tere nuur ke sāñche meñ Dhāle haath paañv
haath pakḌe mujh ko khīñche phir sū-e-dasht-e-balā
ai junūñ ab kar diye tere havāle haath paañv
ḳhvāh bāñdheñ ḳhvāh jakḌeñ in ko zanjīroñ meñ vo
ham ne un zulfoñ ke hāthoñ bech Daale haath paañv
haath uljhe jeb se phir paañv lipTe ḳhaar se
ham ne zindāñ se nikalte hī nikāle haath paañv
sar sināñ ne siina ḳhanjar ne liyā nāvak ne dil
haiñ ye terī nazr ai teġh-e-jafā le haath paañv
kar diyā hai chuur ham ko nashsha-e-ulfat ne 'dāġh'
ab bhalā koī sañbhalte haiñ sañbhāle haath paañv
tujh se kya nisbat ki the laila ke kale hath panw
haq ne tere nur ke sanche mein Dhaale hath panw
hath pakDe mujh ko khinche phir su-e-dasht-e-bala
ai junun ab kar diye tere hawale hath panw
KHwah bandhen KHwah jakDen in ko zanjiron mein wo
hum ne un zulfon ke hathon bech Dale hath panw
hath uljhe jeb se phir panw lipTe KHar se
hum ne zindan se nikalte hi nikale hath panw
sar sinan ne sina KHanjar ne liya nawak ne dil
hain ye teri nazr ai tegh-e-jafa le hath panw
kar diya hai chur hum ko nashsha-e-ulfat ne 'dagh'
ab bhala koi sanbhalte hain sanbhaale hath panw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.