tujhse wabasta zindagi mujh mein
tujh se vābasta zindagī mujh meñ
ek haarī huī ḳhudī mujh meñ
terī āvāz sun ke jaag uThī
ek rūThī huī ḳhushī mujh meñ
shoḳh chanchal hai shab kī tanhā.ī
tū ne bhar dī hai raushnī mujh meñ
ruuh tujh se kalām kartī hai
saañs letī hai dilkashī mujh meñ
fāsle saare miTte jaate haiñ
raqs kartī hai be-ḳhudī mujh meñ
raat kyā tujh ko ḳhvāb meñ dekhā
sub.h-e-tābīr hañs paḌī mujh meñ
tujh se wabasta zindagi mujh mein
ek haari hui KHudi mujh mein
teri aawaz sun ke jag uThi
ek ruThi hui KHushi mujh mein
shoKH chanchal hai shab ki tanhai
tu ne bhar di hai raushni mujh mein
ruh tujh se kalam karti hai
sans leti hai dilkashi mujh mein
fasle sare miTte jate hain
raqs karti hai be-KHudi mujh mein
raat kya tujh ko KHwab mein dekha
subh-e-tabir hans paDi mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.