tumhein jo kah na paya hai ghazal mein main sunata hun
tumheñ jo kah na paayā hai ġhazal meñ maiñ sunātā huuñ
jahāñ-bhar se chhupātā huuñ vahī tum ko batātā huuñ
mohabbat hai mujhe kitnī tumheñ kaise batā.ūñ maiñ
tumhīñ ko yaad kartā huuñ sabhī ko bhuul jaatā huuñ
jise 'mīrā' ne gaayā hai vahī ab yaad aatā hai
usī ko hī to mahfil meñ sabhī ko maiñ sunātā huuñ
churā.e the kabhī maiñ ne jo paise jeb se jin ke
unhīñ ke vāste hī maiñ yahāñ paisa kamātā huuñ
tumhein jo kah na paya hai ghazal mein main sunata hun
jahan-bhar se chhupata hun wahi tum ko batata hun
mohabbat hai mujhe kitni tumhein kaise bataun main
tumhin ko yaad karta hun sabhi ko bhul jata hun
jise 'mira' ne gaya hai wahi ab yaad aata hai
usi ko hi to mahfil mein sabhi ko main sunata hun
churae the kabhi main ne jo paise jeb se jin ke
unhin ke waste hi main yahan paisa kamata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.