uData raundta har rah-e-kaif-o-kam nikla
uḌātā rauñdtā har rāh-e-kaif-o-kam niklā
pas-e-ġhubār-e-nafas shah-savār-e-ġham niklā
har ik numūd meñ shāmil thā vahm-e-jabr kā lutf
har ik vujūd 'azā-ḳhāna-e-karam niklā
sunā to ye thā jahān-e-digar hai terā dayār
magar har ek yahāñ kushta-e-sitam niklā
tamām kūcha-o-bāzār dast-basta the
kuchh is adā se mire 'ishq kā 'alam niklā
chalā thā ruuh se milne vo dil-zada miskīñ
magar ġharīb kā rāh-e-badan meñ dam niklā
koī jagah na milī māvarā-e-sūd-o-ziyāñ
har ik maqām pe imkān-e-besh-o-kam niklā
uData raundta har rah-e-kaif-o-kam nikla
pas-e-ghubar-e-nafas shah-sawar-e-gham nikla
har ek numud mein shamil tha wahm-e-jabr ka lutf
har ek wujud 'aza-KHana-e-karam nikla
suna to ye tha jahan-e-digar hai tera dayar
magar har ek yahan kushta-e-sitam nikla
tamam kucha-o-bazar dast-basta the
kuchh is ada se mere 'ishq ka 'alam nikla
chala tha ruh se milne wo dil-zada miskin
magar gharib ka rah-e-badan mein dam nikla
koi jagah na mili mawara-e-sud-o-ziyan
har ek maqam pe imkan-e-besh-o-kam nikla
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 48)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.