un ko apne qarib dekha hai
un ko apne qarīb dekhā hai
ḳhvāb maiñ ne 'ajīb dekhā hai
merī āñkhoñ se jitnā duur hai vo
utnā dil ke qarīb dekhā hai
'ishq ko kuchh na de sakā ḳhairāt
husn ko bhī ġharīb dekhā hai
pastī-e-hāl par na ho māyūs
kis ne apnā nasīb dekhā hai
dil gayā dekhte haiñ us but ko
sāneha ye 'ajīb dekhā hai
un ko apne qarib dekha hai
KHwab main ne 'ajib dekha hai
meri aankhon se jitna dur hai wo
utna dil ke qarib dekha hai
'ishq ko kuchh na de saka KHairaat
husn ko bhi gharib dekha hai
pasti-e-haal par na ho mayus
kis ne apna nasib dekha hai
dil gaya dekhte hain us but ko
saneha ye 'ajib dekha hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 157)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.