unhen bhi meri ulfat ki agar pahchan ho jae
unheñ bhī merī ulfat kī agar pahchān ho jaa.e
to ye rishta nibhānā vāqa'ī āsān ho jaa.e
zamāne ke na lag jā.ūñ kahīñ maiñ haath aise meñ
ijāzat ho to banda 'ishq kā darbān ho jaa.e
samajhnā hai bahut mushkil mohabbat kī ye betābi
kise mā'lūm kab Thahrī havā tūfān ho jaa.e
tujhe phir dekhne kī koī jur.at kar nahīñ saktā
agar tū mere dil meñ ek pal mehmān ho jaa.e
use phir aur ḳhushbū kī zarūrat hī nahīñ rahtī
agar koī bhī insāñ 'ishq meñ guldān ho jaa.e
yahāñ har shaḳhs meñ ham ne ka.ī kirdār dekhe haiñ
zarūrī hai ki ab har aadmī insān ho jaa.e
janāze meñ mire shāmil agar hoñ chaar kāñdhe to
safar ye āḳhirī merā zarā āsān ho jaa.e
guzārūñ yaad meñ terī 'asīm' ek ek lamha maiñ
qasam rab kī jo tū bhī dil se merī jaan ho jaa.e
unhen bhi meri ulfat ki agar pahchan ho jae
to ye rishta nibhana waqa'i aasan ho jae
zamane ke na lag jaun kahin main hath aise mein
ijazat ho to banda 'ishq ka darban ho jae
samajhna hai bahut mushkil mohabbat ki ye betabi
kise ma'lum kab Thahri hawa tufan ho jae
tujhe phir dekhne ki koi jurat kar nahin sakta
agar tu mere dil mein ek pal mehman ho jae
use phir aur KHushbu ki zarurat hi nahin rahti
agar koi bhi insan 'ishq mein guldan ho jae
yahan har shaKHs mein hum ne kai kirdar dekhe hain
zaruri hai ki ab har aadmi insan ho jae
janaze mein mere shamil agar hon chaar kandhe to
safar ye aaKHiri mera zara aasan ho jae
guzarun yaad mein teri 'asim' ek ek lamha main
qasam rab ki jo tu bhi dil se meri jaan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.