uski aankhon sa uske gesu sa
us kī āñkhoñ sā us ke gesū sā
merā saarā kalām ḳhushbū sā
merī palkoñ pe jhilmilātā hai
rāt-bhar ek naam jugnū sā
kitnī muddat ke baad mujh se mile
muskurātā hai pyaar aañsū sā
aaj va.ada kisī kā Tuut gayā
reshmī titliyoñ ke baazū sā
roz tanhā.iyoñ meñ ik chehra
toltā hai mujhe tarāzū sā
us ki aankhon sa us ke gesu sa
mera sara kalam KHushbu sa
meri palkon pe jhilmilata hai
raat-bhar ek nam jugnu sa
kitni muddat ke baad mujh se mile
muskuraata hai pyar aansu sa
aaj wada kisi ka Tut gaya
reshmi titliyon ke bazu sa
roz tanhaiyon mein ek chehra
tolta hai mujhe taraazu sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.