uski KHwahish hai ki jaldi bhul jaana chahiye
us kī ḳhvāhish hai ki jaldī bhuul jaanā chāhiye
bhuul jaane ke liye jis ko zamāna chāhiye
us ko aanā hai mujhe vā'da nibhānā chāhiye
ghar ke darvāze ko ḳhud hī khaTkhaTānā chāhiye
kachchī miTTī se banā to lo makāñ par soch lo
bārishoñ ko to barasne kā bahāna chāhiye
dhuup se bach jāoge par chāñdnī kho jā.egī
soch kar āñgan meñ koī peḌ ugānā chāhiye
laakh nazroñ ko na.e rangoñ kā mausam ho pasand
dil ko to lekin vahī sāthī purānā chāhiye
us ki KHwahish hai ki jaldi bhul jaana chahiye
bhul jaane ke liye jis ko zamana chahiye
us ko aana hai mujhe wa'da nibhana chahiye
ghar ke darwaze ko KHud hi khaTkhaTana chahiye
kachchi miTTi se bana to lo makan par soch lo
barishon ko to barasne ka bahana chahiye
dhup se bach jaoge par chandni kho jaegi
soch kar aangan mein koi peD ugana chahiye
lakh nazron ko nae rangon ka mausam ho pasand
dil ko to lekin wahi sathi purana chahiye
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 110)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.