aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste

Nazeer Akbarabadi

aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    aayā nahīñ jo kar kar iqrār hañste hañste

    jul de gayā hai shāyad ayyār hañste hañste

    itnā na hañs dil us se aisā na ho ki chanchal

    laḌne ko tujh se hove tayār hañste hañste

    le kar sarīh dil ko vo gul-izār yaaro

    zāhir kare hai kyā kyā inkār hañste hañste

    hañs hañs ke chheḌ us ko zinhār na ai dil

    hogā gale tere ye haar hañste hañste

    hañsne aan dikhlā letā hai dil ko gul-rū

    kartā hai shoḳh yaaro be-kār hañste hañste

    jhuñjhlā ke haal dil kahnā nahīñ ravā hai

    laa.eq yahāñ to karnā inkār hañste hañste

    dastār surḳh saj kar turra zarī rakh kar

    aayā jo dil ko lene dildār hañste hañste

    āñkheñ laḌā ke us ne hañs kar nigah aisī

    jo le gayā dil āḳhir ḳhuñḳhār hañste hañste

    aayā hai dekhne ko tere 'nazīr' ai gul

    dikhlā de Tuk us ko dīdār hañste hañste

    aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste

    jul de gaya hai shayad ayyar hanste hanste

    itna na hans dil us se aisa na ho ki chanchal

    laDne ko tujh se howe tayar hanste hanste

    le kar sarih dil ko wo gul-izar yaro

    zahir kare hai kya kya inkar hanste hanste

    hans hans ke chheD us ko zinhaar tu na ai dil

    hoga gale ka tere ye haar hanste hanste

    hansne ki aan dikhla leta hai dil ko gul-ru

    karta hai shoKH yaro be-kar hanste hanste

    jhunjhla ke haal dil ka kahna nahin rawa hai

    laeq yahan to karna inkar hanste hanste

    dastar surKH saj kar turra zari ka rakh kar

    aaya jo dil ko lene dildar hanste hanste

    aankhen laDa ke us ne hans kar nigah ki aisi

    jo le gaya dil aaKHir KHunKHar hanste hanste

    aaya hai dekhne ko tere 'nazir' ai gul

    dikhla de Tuk tu us ko didar hanste hanste

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 468)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Edition: 1976
      • Publisher: Ram Narayan Laal Beni Madhu, Allahabad
      • Year of Publication: 1976

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now