wahi umid wahi intizar le aai
vahī umiid vahī intizār le aa.ī
na.ī havā bhī purānā ġhubār le aa.ī
kisī se le liye manzar kisī se bīnā.ī
kisī se zindagī āñkheñ udhār le aa.ī
chalo yahāñ se ki sahrā kī ḳhaak bhī āḳhir
tamām shahr ke naqsh-o-nigār le aa.ī
tirī talāsh meñ ḳhud ko vahāñ talak laayā
jahāñ talak bhī tirī rahguzār le aa.ī
shab-e-guzishta mujhe ik ḳhafīf sī aahaT
kisī ḳhayāl kī naddī ke paar le aa.ī
jahāñ kī dhuup se kuchh aur na ho sakā lekin
abhī se bāloñ meñ chāñdī ke taar le aa.ī
wahi umid wahi intizar le aai
nai hawa bhi purana ghubar le aai
kisi se le liye manzar kisi se binai
kisi se zindagi aankhen udhaar le aai
chalo yahan se ki sahra ki KHak bhi aaKHir
tamam shahr ke naqsh-o-nigar le aai
teri talash mein KHud ko wahan talak laya
jahan talak bhi teri rahguzar le aai
shab-e-guzishta mujhe ek KHafif si aahaT
kisi KHayal ki naddi ke par le aai
jahan ki dhup se kuchh aur na ho saka lekin
abhi se baalon mein chandi ke tar le aai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 62)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.