Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ye kaisa aaya hai

Khalid Majeed

waqt ye kaisa aaya hai

Khalid Majeed

MORE BYKhalid Majeed

    vaqt ye kaisā aaya hai

    qad se ūñchā saaya hai

    kyā kyā ham ne khoyā hai

    kyā kyā ham ne paayā hai

    ulTī sīdhī bātoñ meñ

    saarā vaqt gañvāyā hai

    kitnī bāteñ bhūlīñ to

    yaad hameñ kuchh aaya hai

    be-par uḌne lage haiñ log

    īshvar terī maayā hai

    kaise kaise logoñ ko

    ham ne nangā paapā hai

    tanhā tanhā kamre meñ

    sannāTā apnāyā hai

    dekh ke surḳh gulāboñ ko

    vo chehra yaad aaya hai

    waqt ye kaisa aaya hai

    qad se uncha saya hai

    kya kya hum ne khoya hai

    kya kya hum ne paya hai

    ulTi sidhi baaton mein

    sara waqt ganwaya hai

    kitni baaten bhulin to

    yaad hamein kuchh aaya hai

    be-par uDne lage hain log

    ishwar teri maya hai

    kaise kaise logon ko

    hum ne nanga papa hai

    tanha tanha kamre mein

    sannaTa apnaya hai

    dekh ke surKH gulabon ko

    wo chehra yaad aaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now