wasl ki raat mein hum raat mein bah jate hain
vasl kī raat meñ ham raat meñ bah jaate haiñ
vasl kab karte haiñ jazbāt meñ bah jaate haiñ
āb-jū ham haiñ pa dariyā ke hamāre sabhī ḳhvāb
radd-e-ta.abīr kī barsāt meñ bah jaate haiñ
baar baar aate haiñ ham apne hamal meñ lekin
shahr kī sāzish-e-isqāt meñ bah jaate haiñ
jism ke apne bhī jaadū haiñ pa kachche haiñ abhī
ruuh kī mashq-e-tilismāt meñ bah jaate haiñ
tah-e-dariyā-e-karam der se khultī hai so ham
uupar uupar kī ināyāt meñ bah jaate haiñ
ḳhatm-e-majlis pe na aayā kabhī ronā ham ko
saare aañsū to shurūāt meñ bah jaate haiñ
wasl ki raat mein hum raat mein bah jate hain
wasl kab karte hain jazbaat mein bah jate hain
aab-ju hum hain pa dariya ke hamare sabhi KHwab
radd-e-tabir ki barsat mein bah jate hain
bar bar aate hain hum apne hamal mein lekin
shahr ki sazish-e-isqat mein bah jate hain
jism ke apne bhi jadu hain pa kachche hain abhi
ruh ki mashq-e-tilismat mein bah jate hain
tah-e-dariya-e-karam der se khulti hai so hum
upar upar ki inayat mein bah jate hain
KHatm-e-majlis pe na aaya kabhi rona hum ko
sare aansu to shuruat mein bah jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.