wo gul nahin to gulon mein bhi dilkashi na rahi
vo gul nahīñ to guloñ meñ bhī dilkashī na rahī
bahār meñ bhī vo pahlī sī baat hī na rahī
tumhāre baad kahāñ ab vo lutf-e-aish-o-nishāt
tumhāre jaane se baaqī koī ḳhushī na rahī
ḳhudā ke fazl se pahuñchā hai is maqām pe ishq
tumhārī yaad bhī dil meñ rahī rahī na rahī
vo jab bhī baam par aa kar hue haiñ jalva-fagan
falak ke chāñd sitāroñ meñ raushnī na rahī
ilāhī ḳhair ye kyā inqilāb aaya hai
ki dostoñ meñ bhī ab rasm-e-dostī na rahī
dikhā.e dāġh-e-dil un ko jo ham ne mahfil meñ
phir is ke baad charāġhoñ meñ raushnī na rahī
kahāñ hai pīr-e-muġhāñ mai-kada hai suunā sā
vo us kī shaan vo shaukat vo baat hī na rahī
bahār aate hī hañsne lage ḳhushī se phuul
kareñge kyā jo chaman meñ bahār hī na rahī
biThāyā ham ko bhī mahfil meñ saath ġhairoñ ke
chalo hameñ bhī shikāyat to aap kī na rahī
hamīñ the vo jo na laa.e kabhī zabāñ pe gila
tumhāre jaur meñ lekin koī kamī na rahī
shikāyat un kī kareñ be-ḳhudī meñ kyā 'gauhar'
ḳhabar hameñ bhī to ab apne haal kī na rahī
wo gul nahin to gulon mein bhi dilkashi na rahi
bahaar mein bhi wo pahli si baat hi na rahi
tumhaare baad kahan ab wo lutf-e-aish-o-nishat
tumhaare jaane se baqi koi KHushi na rahi
KHuda ke fazl se pahuncha hai is maqam pe ishq
tumhaari yaad bhi dil mein rahi rahi na rahi
wo jab bhi baam par aa kar hue hain jalwa-fagan
falak ke chand sitaron mein raushni na rahi
ilahi KHair ye kya inqilab aaya hai
ki doston mein bhi ab rasm-e-dosti na rahi
dikhae dagh-e-dil un ko jo hum ne mahfil mein
phir is ke baad charaghon mein raushni na rahi
kahan hai pir-e-mughan mai-kada hai suna sa
wo us ki shan wo shaukat wo baat hi na rahi
bahaar aate hi hansne lage KHushi se phul
karenge kya jo chaman mein bahaar hi na rahi
biThaya hum ko bhi mahfil mein sath ghairon ke
chalo hamein bhi shikayat to aap ki na rahi
hamin the wo jo na lae kabhi zaban pe gila
tumhaare jaur mein lekin koi kami na rahi
shikayat un ki karen be-KHudi mein kya 'gauhar'
KHabar hamein bhi to ab apne haal ki na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.