wo husn jis ko dekh ke kuchh bhi kaha na jae
wo husn jis ko dekh ke kuchh bhi kaha na jae
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
vo husn jis ko dekh ke kuchh bhī kahā na jaa.e
dil kī lagī usī se kahe bin rahā na jaa.e
kyā jaane kab se dil meñ hai apne basā huā
aisā nagar ki jis meñ koī rāsta na jaa.e
dāman rafū karo ki bahut tez hai havā
dil kā charāġh phir koī aa kar bujhā na jaa.e
nāzuk bahut hai rishta-e-dil tez mat chalo
dekho tumhāre haath se ye silsila na jaa.e
hai koī khel jaan gañvāne kā hausla
ḳhair ab jo aa gayā hai to ye marhala na jaa.e
ik vo bhī haiñ ki ġhair kā bunte haiñ jo kafan
ik ham ki apnā chāk-garebāñ siyā na jaa.e
wo husn jis ko dekh ke kuchh bhi kaha na jae
dil ki lagi usi se kahe bin raha na jae
kya jaane kab se dil mein hai apne basa hua
aisa nagar ki jis mein koi rasta na jae
daman rafu karo ki bahut tez hai hawa
dil ka charagh phir koi aa kar bujha na jae
nazuk bahut hai rishta-e-dil tez mat chalo
dekho tumhaare hath se ye silsila na jae
hai koi khel jaan ganwane ka hausla
KHair ab jo aa gaya hai to ye marhala na jae
ek wo bhi hain ki ghair ka bunte hain jo kafan
ek hum ki apna chaak-gareban siya na jae
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 77)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.