wo KHayal aaya to har lamha diwana ho gaya
vo ḳhayāl aayā to har lamha divāna ho gayā
mausam-e-tanhā.ī phir kitnā suhānā ho gayā
vo shajar jo tum ne sīñchā thā phir us kī shāḳh par
ik parinda aa ke baiThā aur ravāna ho gayā
saaf aate haiñ nazar duniyā ke saare 'aks ab
tum se bichhḌe haiñ to dil ā.īna-ḳhāna ho gayā
ḳharch kartā hī nahīñ qārūn-e-ġham huuñ dosto
jam' āñkhoñ meñ mirī kitnā ḳhazāna ho gayā
saath rozāna mire chaltā hai baazū thaam kar
vo jise dekhe hue shāyad zamāna ho gayā
wo KHayal aaya to har lamha diwana ho gaya
mausam-e-tanhai phir kitna suhana ho gaya
wo shajar jo tum ne sincha tha phir us ki shaKH par
ek parinda aa ke baiTha aur rawana ho gaya
saf aate hain nazar duniya ke sare 'aks ab
tum se bichhDe hain to dil aaina-KHana ho gaya
KHarch karta hi nahin qarun-e-gham hun dosto
jam' aankhon mein meri kitna KHazana ho gaya
sath rozana mere chalta hai bazu tham kar
wo jise dekhe hue shayad zamana ho gaya
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 113)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.