wo KHuda hai ki sanam hath laga kar dekhen
vo ḳhudā hai ki sanam haath lagā kar dekheñ
aaj us shaḳhs ko nazdīk bulā kar dekheñ
ek jaise haiñ sabhī gul-badanoñ ke chehre
kis ko tashbīh kā ā.īna dikhā kar dekheñ
kyā ta'ajjub koī tā'bīr dikhā.ī de jaa.e
ham bhī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb sajā kar dekheñ
jism ko jism se milne nahīñ detī kam-baḳht
ab takalluf kī ye dīvār girā kar dekheñ
ḳhair dillī meñ to aurāq-e-musavvar the bahut
laao is shahr kī galiyoñ meñ bhī jā kar dekheñ
kaun aatā hai yahāñ tez havāoñ ke sivā
apnī dahlīz pe ik sham' jalā kar dekheñ
vo samajhtā hai ye andāz-e-taḳhātub ki nahīñ
ye ġhazal us ġhazal-ārā ko sunā kar dekheñ
wo KHuda hai ki sanam hath laga kar dekhen
aaj us shaKHs ko nazdik bula kar dekhen
ek jaise hain sabhi gul-badanon ke chehre
kis ko tashbih ka aaina dikha kar dekhen
kya ta'ajjub koi ta'bir dikhai de jae
hum bhi aankhon mein koi KHwab saja kar dekhen
jism ko jism se milne nahin deti kam-baKHt
ab takalluf ki ye diwar gira kar dekhen
KHair dilli mein to auraq-e-musawwar the bahut
lao is shahr ki galiyon mein bhi ja kar dekhen
kaun aata hai yahan tez hawaon ke siwa
apni dahliz pe ek sham' jala kar dekhen
wo samajhta hai ye andaz-e-taKHatub ki nahin
ye ghazal us ghazal-ara ko suna kar dekhen
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 34)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.