wo subh wasl kar ke pareshan bhi gaya
vo sub.h vasl kar ke pareshān bhī gayā
lekin ridā-e-vā'da-e-shab taan bhī gayā
ik baar maiñ sifārish-e-ashk-o-du'ā ke baa'd
us anjuman meñ be-sar-o-sāmān bhī gayā
ruḳhsat huā hai dil se tumhārā ḳhayāl bhī
is ghar se aaj āḳhirī mehmān bhī gayā
aisā kahāñ vo mānñe vaalā thā merī baat
bādal umaD ke aa.e haiñ to maan bhī gayā
bahkā rahā hai kaun mujhe yuuñ tire ḳhilāf
ik martaba ḳhud apnī taraf dhyān bhī gayā
kyā kar sakegā shahr ki marne se peshtar
gar apne qātiloñ ko maiñ pahchān bhī gayā
dushman ke dil meñ ab bhī hai dahshat mirī 'jamāl'
har chand mere haath se maidān bhī gayā
wo subh wasl kar ke pareshan bhi gaya
lekin rida-e-wa'da-e-shab tan bhi gaya
ek bar main sifarish-e-ashk-o-du'a ke ba'd
us anjuman mein be-sar-o-saman bhi gaya
ruKHsat hua hai dil se tumhaara KHayal bhi
is ghar se aaj aaKHiri mehman bhi gaya
aisa kahan wo manne wala tha meri baat
baadal umaD ke aae hain to man bhi gaya
bahka raha hai kaun mujhe yun tere KHilaf
ek martaba KHud apni taraf dhyan bhi gaya
kya kar sakega shahr ki marne se peshtar
gar apne qatilon ko main pahchan bhi gaya
dushman ke dil mein ab bhi hai dahshat meri 'jamal'
har chand mere hath se maidan bhi gaya
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 121)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.