Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo tafawuten hain mere KHuda ki ye tu nahin koi aur hai

Ahmad Faraz

wo tafawuten hain mere KHuda ki ye tu nahin koi aur hai

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    vo tafāvuteñ haiñ mire ḳhudā ki ye nahīñ koī aur hai

    ki āsmān pe ho to ho ye sar-e-zamīñ koī aur hai

    vo jo rāste the vafā ke the ye jo manzileñ haiñ sazā haiñ

    mirā ham-safar koī aur thā mirā ham-nashīñ koī aur hai

    mire jism-o-jāñ meñ tire sivā nahīñ aur koī bhī dūsrā

    mujhe phir bhī lagtā hai is tarah ki kahīñ kahīñ koī aur hai

    maiñ asiir apne ġhazāl maiñ faqīr dasht-e-visāl

    jo hiran ko bāñdh ke le gayā vo subuktagīñ koī aur hai

    maiñ 'ajab musāfir-e-be-amāñ ki jahāñ jahāñ bhī gayā vahāñ

    mujhe ye lagā mirā ḳhāk-dāñ ye zamīñ nahīñ koī aur hai

    rahe be-ḳhabar mire yaar tak kabhī is pe shak kabhī us pe shak

    mire ko jis rahī lalak vo qamar-jabīñ koī aur hai

    ye jo chaar din ke nadīm haiñ inheñ kyā 'farāz' koī kahe

    vo mohabbateñ vo shikāyateñ hameñ jis se thiiñ koī aur hai

    wo tafawuten hain mere KHuda ki ye tu nahin koi aur hai

    ki tu aasman pe ho to ho ye sar-e-zamin koi aur hai

    wo jo raste the wafa ke the ye jo manzilen hain saza ki hain

    mera ham-safar koi aur tha mera ham-nashin koi aur hai

    mere jism-o-jaan mein tere siwa nahin aur koi bhi dusra

    mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kahin kahin koi aur hai

    main asir apne ghazal ka main faqir dasht-e-visal ka

    jo hiran ko bandh ke le gaya wo subuktagin koi aur hai

    main 'ajab musafir-e-be-aman ki jahan jahan bhi gaya wahan

    mujhe ye laga mera KHak-dan ye zamin nahin koi aur hai

    rahe be-KHabar mere yar tak kabhi is pe shak kabhi us pe shak

    mere ji ko jis ki rahi lalak wo qamar-jabin koi aur hai

    ye jo chaar din ke nadim hain inhen kya 'faraaz' koi kahe

    wo mohabbaten wo shikayaten hamein jis se thin koi aur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now