wo yunhi nahin ishq ki jagir se nikla
vo yūñhī nahīñ 'ishq kī jāgīr se niklā
majbūrī-e-nān-o-namak-o-shīr se niklā
paayā hai kisī dā.era-e-ḳhāk meñ ḳhud ko
maiñ jab bhī kisī halqa-e-zanjīr se niklā
ye sāmne jo Dher ḳhazāne kā paḌā hai
naqshe se nahīñ laġhzish-e-rahgīr se niklā
kyā hotā agar maiñ nazar-andāz na kartā
jo dūsrā matlab tirī tahrīr se niklā
dohrī huī jaatī thī kamar bojh se merī
jab ḳhvāb liye kūcha-e-tā'bīr se niklā
wo yunhi nahin 'ishq ki jagir se nikla
majburi-e-nan-o-namak-o-shir se nikla
paya hai kisi daera-e-KHak mein KHud ko
main jab bhi kisi halqa-e-zanjir se nikla
ye samne jo Dher KHazane ka paDa hai
naqshe se nahin laghzish-e-rahgir se nikla
kya hota agar main nazar-andaz na karta
jo dusra matlab teri tahrir se nikla
dohri hui jati thi kamar bojh se meri
jab KHwab liye kucha-e-ta'bir se nikla
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 115)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.