yaad aankhon ko bahut ek KHwab aaega
yaad āñkhoñ ko bahut ik ḳhvāb aa.egā
raat hogī baam par mahtāb aa.egā
ḳhushk lab kahte haiñ ab bārish nahīñ hogī
chashm-e-nam kahtī hai ik sailāb aa.egā
kankarī māregī jab ik yaad kī aahaT
ḳhāmushī kī nahr meñ girdāb aa.egā
kyoñ samundar meñ kisī kāġhaz kī naav ko
yaad apne gaañv kā tālāb aa.egā
aur dabe paañv idhar aa jā.egā sūraj
raat kī dīvār meñ ik baab aa.egā
yaad aankhon ko bahut ek KHwab aaega
raat hogi baam par mahtab aaega
KHushk lab kahte hain ab barish nahin hogi
chashm-e-nam kahti hai ek sailab aaega
kankari maregi jab ek yaad ki aahaT
KHamushi ki nahr mein girdab aaega
kyon samundar mein kisi kaghaz ki naw ko
yaad apne ganw ka talab aaega
aur dabe panw idhar aa jaega suraj
raat ki diwar mein ek bab aaega
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 116)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.