yahan dimagh kahan main chalane aata hun
yahāñ dimāġh kahāñ maiñ chalāne aatā huuñ
yahāñ to bas tirī bātoñ meñ aane aatā huuñ
mirā mazāq uḌā kar tujhe jo miltī hai
usī ḳhushī pe yahāñ muskurāne aatā huuñ
zamāne pahle jise Dūbnā thā Duub gayā
na jaane ab yahāñ kis ko bachāne aatā huuñ
ab us kā ghar to ziyārat-kada hai mere liye
salām kar ke kahīñ aur jaane aatā huuñ
ye Dūbtā huā sūraj to ik bahāna hai
maiñ ik nadī ko samundar dikhāne aatā huuñ
hadaf to aur koī hai magar tumhāre paas
zarā nishāne ko behtar banāne aatā huuñ
haqīqatoñ pe jhagaḌne ke din ga.e 'shāriq'
ab us ke jhūTh pe taalī bajāne aatā huuñ
yahan dimagh kahan main chalane aata hun
yahan to bas teri baaton mein aane aata hun
mera mazaq uDa kar tujhe jo milti hai
usi KHushi pe yahan muskurane aata hun
zamane pahle jise Dubna tha Dub gaya
na jaane ab yahan kis ko bachane aata hun
ab us ka ghar to ziyarat-kada hai mere liye
salam kar ke kahin aur jaane aata hun
ye Dubta hua suraj to ek bahana hai
main ek nadi ko samundar dikhane aata hun
hadaf to aur koi hai magar tumhaare pas
zara nishane ko behtar banane aata hun
haqiqaton pe jhagaDne ke din gae 'shaariq'
ab us ke jhuTh pe tali bajaane aata hun
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 87)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.