yaqin KHud pe itna baDi baat hai
yaqīñ ḳhud pe itnā baḌī baat hai
akele tamāsha baḌī baat hai
hazāroñ se rishta nibhāte hue
kisī kā na honā baḌī baat hai
hameñ yuuñ bhī tum yaad rah jāoge
barābar kā dhokā baḌī baat hai
shikārī se bachne meñ kaisā kamāl
nishāne pe rahnā baḌī baat hai
tire be-muravvat laboñ se koī
bahāna bhī sunñā baḌī baat hai
baḌā kaam Dhāras bañdhānā nahīñ
barābar se ronā baḌī baat hai
Thikāne lagā.ūñ kahāñ ḳhaak ko
havā kā ye kahnā baḌī baat hai
yaqin KHud pe itna baDi baat hai
akele tamasha baDi baat hai
hazaron se rishta nibhate hue
kisi ka na hona baDi baat hai
hamein yun bhi tum yaad rah jaoge
barabar ka dhoka baDi baat hai
shikari se bachne mein kaisa kamal
nishane pe rahna baDi baat hai
tere be-murawwat labon se koi
bahana bhi sunna baDi baat hai
baDa kaam Dhaaras bandhana nahin
barabar se rona baDi baat hai
Thikane lagaun kahan KHak ko
hawa ka ye kahna baDi baat hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 97)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.