ye dhup chand sitare hawa ghaTa barish
ye dhuup chāñd sitāre havā ghaTā bārish
zuhūr-e-haq kī dalīleñ haiñ jā-ba-jā bārish
'ajab latīf sā manzar hai mere ḳhvāboñ kā
ki terī yaad hai maiñ huuñ zarā zarā bārish
siyāh faam ke dhānoñ kī ḳhushk fasloñ par
‘araq sabāhat-e-tal’at kā ho 'atā bārish
ye kisht-e-kaif mirī jis se lahlahā uTThe
pata us abr-e-guhar-bār kā batā bārish
tū ek os kā qatra maiñ sar-basar pyāsā
mirī ye tishna-labī dekh jā ke lā bārish
har ek shai ko barābar ho is se sairābī
tū apne mazraf-e-hastī ko yuuñ banā bārish
hamārī fard-e-ḳhatā ke nuqūsh dhul jaa.eñ
agar vo bhej de baḳhshish kī be-bahā bārish
ye soch kar hī maiñ andar se bhiig jaatā huuñ
ki le ke Duub na jaa.e makāñ mirā bārish
ye dhup chand sitare hawa ghaTa barish
zuhur-e-haq ki dalilen hain ja-ba-ja barish
'ajab latif sa manzar hai mere KHwabon ka
ki teri yaad hai main hun zara zara barish
siyah fam ke dhanon ki KHushk faslon par
‘araq sabahat-e-tal’at ka ho 'ata barish
ye kisht-e-kaif meri jis se lahlaha uTThe
pata us abr-e-guhar-bar ka bata barish
tu ek os ka qatra main sar-basar pyasa
meri ye tishna-labi dekh ja ke la barish
har ek shai ko barabar ho is se sairabi
tu apne mazraf-e-hasti ko yun bana barish
hamari fard-e-KHata ke nuqush dhul jaen
agar wo bhej de baKHshish ki be-baha barish
ye soch kar hi main andar se bhig jata hun
ki le ke Dub na jae makan mera barish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.