ye kis daricha-e-gul se niDhaal aai hai
ye kis darīcha-e-gul se niDhāl aa.ī hai
sabā jo aa.ī to bū-e-malāl aa.ī hai
tire rajaz meñ bhī zor-e-bayān larzāñ hai
mirī ġhazal pe bhī shām-e-zavāl aa.ī hai
tirī talab dil-e-vahshat-zada kā rozīna
kahāñ kahāñ mirī jānāñ uchhāl aa.ī hai
purāne zaḳhm mahakne lage hinā kī tarah
ye kis kī yaad pae-indimāl aa.ī hai
tamām naġhma-o-āhang sang-basta haiñ
tirī navā 'ajab hairat meñ Daal aa.ī hai
kahāñ ga.ī vo mirī ġhairat-e-faqīrāna
kahāñ se hasrat-e-māl-o-manāl aa.ī hai
ye kis daricha-e-gul se niDhaal aai hai
saba jo aai to bu-e-malal aai hai
tere rajaz mein bhi zor-e-bayan larzan hai
meri ghazal pe bhi sham-e-zawal aai hai
teri talab dil-e-wahshat-zada ka rozina
kahan kahan meri jaanan uchhaal aai hai
purane zaKHm mahakne lage hina ki tarah
ye kis ki yaad pae-indimal aai hai
tamam naghma-o-ahang sang-basta hain
teri nawa 'ajab hairat mein Dal aai hai
kahan gai wo meri ghairat-e-faqirana
kahan se hasrat-e-mal-o-manal aai hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 20)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.