ye kya ki sare diye raat-bhar jala na karen
ye kyā ki saare diye rāt-bhar jalā na kareñ
in āñdhiy.oñ se kaho aur kuchh bahāna kareñ
maiñ apne dasht ko niklā huuñ apnī ruuh ke saath
so shahr vaale mirā jism bhī ravāna kareñ
mire lahū meñ parinda jo par-fishāñ hai bahut
vo aa.eñ aur kisī din ise nishāna kareñ
ab aur kyā kareñ ḳhvāboñ se bhāgne vaale
yahī kareñ ki in āñkhoñ kā sāmnā na kareñ
ye kya ki sare diye raat-bhar jala na karen
in aandhiyon se kaho aur kuchh bahana karen
main apne dasht ko nikla hun apni ruh ke sath
so shahr wale mera jism bhi rawana karen
mere lahu mein parinda jo par-fishan hai bahut
wo aaen aur kisi din ise nishana karen
ab aur kya karen KHwabon se bhagne wale
yahi karen ki in aankhon ka samna na karen
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 88)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 90)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.