ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain
ye vāhime bhī ajab bām-o-dar banāte haiñ
havā kī shāḳh pe ḳhushbū kā ghar banāte haiñ
kaf-e-ḳhayāl pe aks-e-nashāt-e-rañg tirā
nahīñ banāne kā yaarā magar banāte haiñ
ye mashġhala hai tire āshiyāñ parastoñ kā
ki zer-e-dām paḌe bāl-o-par banāte haiñ
vo apnī marzī kā matlab nikāl letā hai
agarche baat to ham soch kar banāte haiñ
maiñ jab bhī dhuup ke sahrā meñ jā nikaltā huuñ
vo haath mujh pe duā kā shajar banāte haiñ
mirī misāl hai un sabz shāḳhchoñ jaisī
jo dhuup kaat ke malbūs zar banāte haiñ
ham us ko bhuul ke karte haiñ shā.irī 'tābish'
kamāl-e-be-hunarī se hunar banāte haiñ
ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain
hawa ki shaKH pe KHushbu ka ghar banate hain
kaf-e-KHayal pe aks-e-nashat-e-rang tera
nahin banane ka yara magar banate hain
ye mashghala hai tere aashiyan paraston ka
ki zer-e-dam paDe baal-o-par banate hain
wo apni marzi ka matlab nikal leta hai
agarche baat to hum soch kar banate hain
main jab bhi dhup ke sahra mein ja nikalta hun
wo hath mujh pe dua ka shajar banate hain
meri misal hai un sabz shaKHchon jaisi
jo dhup kat ke malbus zar banate hain
hum us ko bhul ke karte hain shairi 'tabish'
kamal-e-be-hunari se hunar banate hain
- Book : Ishq Abaab (Pg. 103)
- Author : Abbas Tabish
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.