yun baras paDte hain kya aise wafadaron par
yuuñ baras paḌte haiñ kyā aise vafādāroñ par
rakh liyā tū ne to ushshāq ko talvāroñ par
mohtasib toḌ ke shīsha na bahā muft sharāb
are kam-baḳht chhiḌak de ise mai-ḳhvāroñ par
āshiq aa.e haiñ ki dīvānoñ kā lashkar aaya
kyā chaḌhā.ī hai tire kūche kī dīvāroñ par
'dāġh' kā ishq bhī duniyā se nirālā dekhā
dil jab aatā hai to aatā hai dil-āzāroñ par
yun baras paDte hain kya aise wafadaron par
rakh liya tu ne to ushshaq ko talwaron par
mohtasib toD ke shisha na baha muft sharab
are kam-baKHt chhiDak de ise mai-KHwaron par
aashiq aae hain ki diwanon ka lashkar aaya
kya chaDhai hai tere kuche ki diwaron par
'dagh' ka ishq bhi duniya se nirala dekha
dil jab aata hai to aata hai dil-azaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.