zaban hai na-tawani se agar band
zabāñ hai nā-tavānī se agar band
mire dil par nahīñ mā'nī ke dar band
hamārī bekasī kab tak chhupegī
ḳhudā par to nahīñ rāh-e-ḳhabar band
ba-yād-e-ranj-e-yārān-e-nazar-band
kiyā ham ne bhī ab milne kā dar band
diloñ meñ dard hī kī kuchh kamī hai
nahīñ hai aah par rāh-e-asar band
but-e-mashriq nahīñ muhtāj-e-sāmāñ
kamar hī jab nahīñ kaisā kamar-band
kahūñgā marsiya is ġham meñ aisā
khule mā'nī dikhā.e jis kā har band
ḳhayāl-e-chashm-e-fattāñ meñ huā mahv
mirā dil ab hai siine meñ nazar-band
zaban hai na-tawani se agar band
mere dil par nahin ma'ni ke dar band
hamari bekasi kab tak chhupegi
KHuda par to nahin rah-e-KHabar band
ba-yaad-e-ranj-e-yaran-e-nazar-band
kiya hum ne bhi ab milne ka dar band
dilon mein dard hi ki kuchh kami hai
nahin hai aah par rah-e-asar band
but-e-mashriq nahin muhtaj-e-saman
kamar hi jab nahin kaisa kamar-band
kahunga marsiya is gham mein aisa
khule ma'ni dikhae jis ka har band
KHayal-e-chashm-e-fattan mein hua mahw
mera dil ab hai sine mein nazar-band
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 100)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.