zaban se be-talluq dil ko bazm-e-yar mein dekha
zabāñ se be-ta'alluq dil ko bazm-e-yār meñ dekhā
ta’ajjub-ḳhez zabt is mahram-e-asrār meñ dekhā
idhar tasbīh kī gardish meñ paayā shaiḳh sāhab ko
barahman ko udhar uljhā huā zunnār meñ dekhā
vo bāñkā qātil ā.īne kī kuchh parvā nahīñ kartā
kabhī dekhā bhī apnā 'aks agar talvār meñ dekhā
zamāne ne mire aage bhī duniyā pesh kar dī thī
magar maiñ ne to apnā fā.eda inkār meñ dekhā
zaban se be-ta'alluq dil ko bazm-e-yar mein dekha
ta’ajjub-KHez zabt is mahram-e-asrar mein dekha
idhar tasbih ki gardish mein paya shaiKH sahab ko
barahman ko udhar uljha hua zunnar mein dekha
wo banka qatil aaine ki kuchh parwa nahin karta
kabhi dekha bhi apna 'aks agar talwar mein dekha
zamane ne mere aage bhi duniya pesh kar di thi
magar main ne to apna faeda inkar mein dekha
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 86)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.