zamin sahra ki ek ik bund ki KHatir tarasti hai
zamīñ sahrā kī ik ik buuñd kī ḳhātir tarastī hai
tū ai barsāt kyoñ jā kar samandar par barastī hai
na ūñchā āsmāñ terā na nīchī hai zamīñ merī
faqat ik fāsla hai bas bulandī hai na pastī hai
hameñ ai shaiḳh har but meñ ḳhudā kā nuur dikhtā hai
hamārī but-parastī dar-haqīqat haq-parastī hai
yahāñ har ik qadam par maut kā sāmān bikhrā hai
darindo mat yahāñ aanā ye insānoñ kī bastī hai
khule jo rāz-e-hastī to na jaane kyā ho hangāma
hai hastī tab talak jab tak nihāñ ye rāz-e-hastī hai
amīrī kā ho aalam ai 'sadā' yā tang-dastī kā
razā meñ us kī rahnā siikh phir mastī hī mastī hai
zamin sahra ki ek ek bund ki KHatir tarasti hai
tu ai barsat kyon ja kar samandar par barasti hai
na uncha aasman tera na nichi hai zamin meri
faqat ek fasla hai bas bulandi hai na pasti hai
hamein ai shaiKH har but mein KHuda ka nur dikhta hai
hamari but-parasti dar-haqiqat haq-parasti hai
yahan har ek qadam par maut ka saman bikhra hai
darindo mat yahan aana ye insanon ki basti hai
khule jo raaz-e-hasti to na jaane kya ho hangama
hai hasti tab talak jab tak nihan ye raaz-e-hasti hai
amiri ka ho aalam ai 'sada' ya tang-dasti ka
raza mein us ki rahna sikh phir masti hi masti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.