hath se pal-bhar mein said-e-be-zaban jata raha
haath se pal-bhar meñ said-e-be-zabāñ jaatā rahā
sochtī hai ahliya shauhar kahāñ jaatā rahā
rauzan-e-dar se nazar aaya jo mehmānoñ kā ġhol
pichhle darvāze se chhup kar mezbāñ jaatā rahā
ban ke dul.han us hasīñ ne jab se rakkhā hai qadam
āshiyāne se mire amn-o-amāñ jaatā rahā
ban bhī saktā hai kisī din tere piTne kā sabab
tū isī raftār se gar us ke haañ jaatā rahā
guftugū us ne sunī jab roz-marra ke ḳhilāf
ahliya ko chhoḌ kar ahl-e-zabāñ jaatā rahā
phone par jab us ne mujh se khilkhilā kar baat kī
dil ke andar thā jo ehsās-e-garāñ jaatā rahā
raid kar ke jo barāmad kar liyā police ne
baa'd meñ us maal kā nām-o-nishāñ jaatā rahā
hath se pal-bhar mein said-e-be-zaban jata raha
sochti hai ahliya shauhar kahan jata raha
rauzan-e-dar se nazar aaya jo mehmanon ka ghol
pichhle darwaze se chhup kar mezban jata raha
ban ke dulhan us hasin ne jab se rakkha hai qadam
aashiyane se mere amn-o-aman jata raha
ban bhi sakta hai kisi din tere piTne ka sabab
tu isi raftar se gar us ke han jata raha
guftugu us ne suni jab roz-marra ke KHilaf
ahliya ko chhoD kar ahl-e-zaban jata raha
phone par jab us ne mujh se khilkhila kar baat ki
dil ke andar tha jo ehsas-e-garan jata raha
raid kar ke jo baramad kar liya police ne
ba'd mein us mal ka nam-o-nishan jata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.