aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise islam mein hai rasm musalmani ki

Machis Lakhnavi

jaise islam mein hai rasm musalmani ki

Machis Lakhnavi

MORE BYMachis Lakhnavi

    jaise islām meñ hai rasm musalmānī

    vaise ishq meñ hai chāk-garebānī

    gat yahī ḳhuun hotī hai jo hai paanī

    rut badal jaatī hai jab fitrat-e-insānī

    hashr meñ ho ga.ī sehhat maraz-e-isyāñ se

    ek ḳhūrāk davā ke pashemānī

    suukh kar ho chukā hai zard marīz-e-ġham-e-hijr

    fasl ab kaTne vaalī hai pareshānī

    donoñ darḳhvāsteñ us shoḳh ne ḳhārij kar diiñ

    pahle to vasl aur phir nazar-e-sānī

    zindagī kaaT jal jal ke jahāñ meñ 'māchis'

    vāqa.ī ne baḌī ishq meñ qurbānī

    jaise islam mein hai rasm musalmani ki

    waise hi ishq mein hai chaak-garebani ki

    gat yahi KHun ki hoti hai jo hai pani ki

    rut badal jati hai jab fitrat-e-insani ki

    hashr mein ho gai sehhat maraz-e-isyan se

    ek KHurak dawa pi ke pashemani ki

    sukh kar ho chuka hai zard mariz-e-gham-e-hijr

    fasl ab kaTne hi wali hai pareshani ki

    donon darKHwasten us shoKH ne KHarij kar din

    pahle to wasl ki aur phir nazar-e-sani ki

    zindagi kaT di jal jal ke jahan mein 'machis'

    waqai tu ne baDi ishq mein qurbani ki

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Machis Lakhnawi (Pg. ebook-62 page-61)

      • Edition: 2004
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 2004

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now