puchh-gachh hashr mein hone lagi diwanon ki
pūchh-gachh hashr meñ hone lagī dīvānoñ kī
Toliyāñ aane lagīñ chāk-garebānoñ kī
hashr meñ chāhne vāloñ se hai is kī tākīd
leak lag jaa.e alaihada mire dīvānoñ kī
aire ġhaire na kahīñ hashr meñ tum ko lipTeñ
ek fihrist banā lījiye dīvānoñ kī
daūr-e-āzādī hai jaldī se pilā de saaqī
bhaTTiyāñ band huī jaatī haiñ mai-ḳhānoñ kī
ab to ai sham.a kaleja huā ThanDā terā
ḳhaak jal jal ke huī bazm meñ parvānoñ kī
apne vahshī ko jo dekhā to kahā darbāñ se
laanā fihrist kahāñ hai mire dīvānoñ kī
be-dhaḌak ghar meñ tire ġhair chale aate haiñ
āñkheñ kyā phuuT ga.ī haiñ tire darbānoñ kī
vasl kī naav lagā.ūñ to kināre se lageñ
kashtiyāñ Duub rahī haiñ mire armānoñ kī
'būm' sāhib pe jo ābādī meñ paḌtī hai latāḌ
raah le lete haiñ sīdhī vo bayābānoñ kī
puchh-gachh hashr mein hone lagi diwanon ki
Toliyan aane lagin chaak-garebanon ki
hashr mein chahne walon se hai is ki takid
leak lag jae alaihada mere diwanon ki
aire ghaire na kahin hashr mein tum ko lipTen
ek fihrist bana lijiye diwanon ki
daur-e-azadi hai jaldi se pila de saqi
bhaTTiyan band hui jati hain mai-KHanon ki
ab to ai shama kaleja hua ThanDa tera
KHak jal jal ke hui bazm mein parwanon ki
apne wahshi ko jo dekha to kaha darban se
lana fihrist kahan hai mere diwanon ki
be-dhaDak ghar mein tere ghair chale aate hain
aankhen kya phuT gai hain tere darbanon ki
wasl ki naw lagaun to kinare se lagen
kashtiyan Dub rahi hain mere armanon ki
'bum' sahib pe jo aabaadi mein paDti hai lataD
rah le lete hain sidhi wo bayabanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.