Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aage to rasm dosti ki thi jahan ke bich

Meer Taqi Meer

aage to rasm dosti ki thi jahan ke bich

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    aage to rasm dostī thī jahāñ ke biich

    ab kaise log aa.e zamīñ āsmāñ ke biich

    maiñ be-dimāġh-e-ishq uThā so chalā gayā

    bulbul pukārtī rahī gulsitāñ ke biich

    tahrīk chalne hai jo dekho nigāh kar

    hai.at ko apnī maujoñ meñ āb-e-ravāñ ke biich

    kyā mail ho humā pas-az-marg merī or

    hai jā-e-gīr ishq tab ustuḳhvāñ ke biich

    kyā jānūñ log kahte haiñ kis ko surūr-e-qalb

    aaya nahīñ ye lafz to hindī zabāñ ke biich

    tāle.a se ban ga.ī ki ham us mah kane ga.e

    bigḌī thī raat us ke sag-o-pāsbāñ ke biich

    itnī jabīn ragḌī ki sang aa.ina huā

    aane lagā hai muñh nazar us āstāñ ke biich

    ḳhūgar hue haiñ ishq garmī se ḳhār-o-ḳhas

    bijlī paḌī rahī hai mire āshiyāñ ke biich

    is rū-e-bar-froḳhta se Dare hai 'mīr'

    ye aag lagegī kisū dūdmāñ ke biich

    aage to rasm dosti ki thi jahan ke bich

    ab kaise log aae zamin aasman ke bich

    main be-dimagh-e-ishq uTha so chala gaya

    bulbul pukarti hi rahi gulsitan ke bich

    tahrik chalne ki hai jo dekho nigah kar

    haiat ko apni maujon mein aab-e-rawan ke bich

    kya mail ho huma ki pas-az-marg meri or

    hai ja-e-gir ishq ki tab ustuKHwan ke bich

    kya jaanun log kahte hain kis ko surur-e-qalb

    aaya nahin ye lafz to hindi zaban ke bich

    talea se ban gai ki hum us mah kane gae

    bigDi thi raat us ke sag-o-pasban ke bich

    itni jabin ragDi ki sang aaina hua

    aane laga hai munh nazar us aastan ke bich

    KHugar hue hain ishq ki garmi se KHar-o-KHas

    bijli paDi rahi hai mere aashiyan ke bich

    is ru-e-bar-froKHta se ji Dare hai 'mir'

    ye aag ja lagegi kisu dudman ke bich

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1370
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now