ab hum faqir ji se dil ko uTha ke baiThe
ab ham faqīr jī se dil ko uThā ke baiThe
us ḳhasm-e-jāñ ke dar par takiya banā ke baiThe
marte hue bhī ham ko sūrat na aa dikhā.ī
vaqt-e-aḳhīr achchhā muñh ko chhupā ke baiThe
uzlat-nashīñ hue jab dil daaġh ho gayā tab
ya.anī ki āshiqī meñ ham ghar jalā ke baiThe
jo kufr jānte the ishq-e-butāñ ko vo hī
masjid ke aage āḳhir qashqa lagā ke baiThe
shor-e-matā.a-e-ḳhūbī us shoḳh kā balā thā
bāzārī sab dukāneñ apnī baḌhā ke baiThe
kyā apnī aur us kī ab naql kariye sohbat
majlis se uTh gayā vo Tuk ham jo aa ke baiThe
kyā jaane teġh us kī kab ho buland āshiq
yuuñ chāhiye ki sar ko har dam jhukā ke baiThe
qit.a
phūloñ kī sej par se jo be-dimāġh uTThe
masnad pe naaz kī jo tyorī chaḌhā ke baiThe
kyā ġham use zamīñ par be-barg-o-sāz koī
ḳhār-o-ḳhasak hī kyoñ na barsoñ bichhā ke baiThe
vādī-e-qais se phir aa.e na 'mīr' sāhib
murshid ke Dher par ve shāyad ki jā ke baiThe
ab hum faqir ji se dil ko uTha ke baiThe
us KHasm-e-jaan ke dar par takiya bana ke baiThe
marte hue bhi hum ko surat na aa dikhai
waqt-e-aKHir achchha munh ko chhupa ke baiThe
uzlat-nashin hue jab dil dagh ho gaya tab
yani ki aashiqi mein hum ghar jala ke baiThe
jo kufr jaante the ishq-e-butan ko wo hi
masjid ke aage aaKHir qashqa laga ke baiThe
shor-e-mataa-e-KHubi us shoKH ka bala tha
bazari sab dukanen apni baDha ke baiThe
kya apni aur us ki ab naql kariye sohbat
majlis se uTh gaya wo Tuk hum jo aa ke baiThe
kya jaane tegh us ki kab ho buland aashiq
yun chahiye ki sar ko har dam jhuka ke baiThe
qita
phulon ki sej par se jo be-dimagh uTThe
masnad pe naz ki jo tyori chaDha ke baiThe
kya gham use zamin par be-barg-o-saz koi
KHar-o-KHasak hi kyon na barson bichha ke baiThe
wadi-e-qais se phir aae na 'mir' sahib
murshid ke Dher par we shayad ki ja ke baiThe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.