ab kar ke faramosh to nashad karoge
ab kar ke farāmosh to nāshād karoge
par ham jo na hoñge to bahut yaad karoge
zinhār agar ḳhasta-dilāñ be-sutūñ jaao
Tuk pās-e-hunar-mandī-e-farhād karoge
ġhairoñ pe agar khīñchoge shamshīr to ḳhūbāñ
ik aur mirī jaan pe bedād karoge
jāgah nahīñ yaañ roiye jis par na khaḌe ho
kuchh shor hī shar par to mujhe yaad karoge
is dasht meñ ai rāhravāñ har-qadam uupar
mānind-e-jaras nāla-o-fariyād karoge
gar dekhoge tum tarz-e-kalām us kī nazar kar
ai ahl-e-suḳhan 'mīr' ko ustād karoge
ab kar ke faramosh to nashad karoge
par hum jo na honge to bahut yaad karoge
zinhaar agar KHasta-dilan be-sutun jao
Tuk pas-e-hunar-mandi-e-farhad karoge
ghairon pe agar khinchoge shamshir to KHuban
ek aur meri jaan pe bedad karoge
jagah nahin yan roiye jis par na khaDe ho
kuchh shor hi shar par to mujhe yaad karoge
is dasht mein ai rahrawan har-qadam upar
manind-e-jaras nala-o-fariyaad karoge
gar dekhoge tum tarz-e-kalam us ki nazar kar
ai ahl-e-suKHan 'mir' ko ustad karoge
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0516
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.