bil-quwwa Tuk dikhaiye chashm-e-pur-ab ka
bil-quvva Tuk dikhā.iye chashm-e-pur-āb kā
dāman pakaḌ ke roiye yak-dam sahāb kā
jo kuchh nazar paḌe hai haqīqat meñ kuchh nahīñ
aalam meñ ḳhuub dekho to aalam hai ḳhvāb kā
dariyā-dilī jinheñ hai nahīñ hote kāsa-lais
dekhā hai vāzhgūñ hī piyāla habāb kā
shāyad ki qalb-e-yār bhī Tuk is taraf phire
maiñ muntazir zamāne ke huuñ inqalāb kā
baare naqāb din ko jo rakhtā hai muñh pe tū
parda sā rah gayā hai kuchh ik āftāb kā
talvār bin nikalte nahīñ ghar se ek dam
ḳhuuñ kar rahoge tum kisū ḳhāna-ḳharāb kā
ye hosh dekh aage mire saath ġhair ke
rakhtā hai paañv mast ho jaise sharāb kā
majnūñ meñ aur mujh meñ kare kyoñ na farq ishq
chhuptā nahīñ maza to jale se kabāb kā
ro fursat-e-javānī pe juuñ abr be-ḳhabar
andāz barq kā sā hai ahd-e-shabāb kā
vaañ se to nāma-bar ko hai kab kā javāb saaf
maiñ sādgī se laagū huuñ ḳhat ke javāb kā
Tapkā kare hai zahr hī sirf us nigāh se
vo chashm ghar hai ġhussa-o-nāz-o-itāb kā
laa.eq thā rījhne hī ke misrā’-e-qadd-e-yār
maiñ mo'taqid huuñ 'mīr' tire intiḳhāb kā
bil-quwwa Tuk dikhaiye chashm-e-pur-ab ka
daman pakaD ke roiye yak-dam sahab ka
jo kuchh nazar paDe hai haqiqat mein kuchh nahin
aalam mein KHub dekho to aalam hai KHwab ka
dariya-dili jinhen hai nahin hote kasa-lais
dekha hai wazhgun hi piyala habab ka
shayad ki qalb-e-yar bhi Tuk is taraf phire
main muntazir zamane ke hun inqalab ka
bare naqab din ko jo rakhta hai munh pe tu
parda sa rah gaya hai kuchh ek aaftab ka
talwar bin nikalte nahin ghar se ek dam
KHun kar rahoge tum kisu KHana-KHarab ka
ye hosh dekh aage mere sath ghair ke
rakhta hai panw mast ho jaise sharab ka
majnun mein aur mujh mein kare kyon na farq ishq
chhupta nahin maza to jale se kabab ka
ro fursat-e-jawani pe jun abr be-KHabar
andaz barq ka sa hai ahd-e-shabab ka
wan se to nama-bar ko hai kab ka jawab saf
main sadgi se lagu hun KHat ke jawab ka
Tapka kare hai zahr hi sirf us nigah se
wo chashm ghar hai ghussa-o-naz-o-itab ka
laeq tha rijhne hi ke misra’-e-qadd-e-yar
main mo'taqid hun 'mir' tere intiKHab ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0730
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.