darweshon se to un ne zidden nikaliyan hain
darveshoñ se to un ne ziddeñ nikāliyāñ haiñ
īdhar se haiñ duā.eñ ūdhar se gāliyāñ haiñ
jab.he se siina tak haiñ kyā kyā ḳharāsh-e-nāḳhun
goyā ki ham ne muñh par talvāreñ khā liyāñ haiñ
jab lag ga.e jhamakne ruḳhsār-e-yār donoñ
tab mehr-o-mah ne apnī āñkheñ chhupā liyāñ haiñ
sub.h-e-chaman kā jalva hindī butoñ meñ dekhā
sandal bharī jabīñ haiñ hoñToñ kī lāliyāñ haiñ
dard-o-alam hī meñ sab jaate haiñ roz-o-shab yaañ
din ashk-reziyāñ haiñ shab zār-nāliyāñ haiñ
hezoñ ne reḳhte ko vuuñ reḳhtī banāyā
juuñ in dinoñ meñ baale laḌkoñ kī bāliyāñ haiñ
ijmā-e-bul-havas ko rakh rakh liyā hai aage
mat jaan aisī bhīḌeñ jī dene vāliyāñ haiñ
un gul-ruḳhoñ kī qāmat lahke hai yuuñ havā meñ
jis rang se lachaktī phūloñ kī Dāliyāñ haiñ
vo duzd-e-dil nahīñ to kyoñ dekhte hī mujh ko
palkeñ jhukā liyāñ haiñ āñkheñ churā liyāñ haiñ
us āftāb bin yaañ andher ho rahā hai
din bhī siyāh apne juuñ rāteñ kāliyāñ haiñ
chalte haiñ ye to Thokar lagtī hai 'mīr' dil ko
chāleñ hī dilbaroñ kī sab se nirāliyāñ haiñ
darweshon se to un ne zidden nikaliyan hain
idhar se hain duaen udhar se galiyan hain
jabhe se sina tak hain kya kya KHarash-e-naKHun
goya ki hum ne munh par talwaren kha liyan hain
jab lag gae jhamakne ruKHsar-e-yar donon
tab mehr-o-mah ne apni aankhen chhupa liyan hain
subh-e-chaman ka jalwa hindi buton mein dekha
sandal bhari jabin hain honTon ki laliyan hain
dard-o-alam hi mein sab jate hain roz-o-shab yan
din ashk-reziyan hain shab zar-naliyan hain
hezon ne reKHte ko wun reKHti banaya
jun in dinon mein baale laDkon ki baaliyan hain
ijma-e-bul-hawas ko rakh rakh liya hai aage
mat jaan aisi bhiDen ji dene waliyan hain
un gul-ruKHon ki qamat lahke hai yun hawa mein
jis rang se lachakti phulon ki Daliyan hain
wo duzd-e-dil nahin to kyon dekhte hi mujh ko
palken jhuka liyan hain aankhen chura liyan hain
us aaftab bin yan andher ho raha hai
din bhi siyah apne jun raaten kaliyan hain
chalte hain ye to Thokar lagti hai 'mir' dil ko
chaalen hi dilbaron ki sab se niraliyan hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1184
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.