Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq KHudai-KHarab hai aisa jis se gae hain ghar ke ghar

Meer Taqi Meer

ishq KHudai-KHarab hai aisa jis se gae hain ghar ke ghar

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ishq ḳhudā.ī-ḳharāb hai aisā jis se ga.e haiñ ghar ke ghar

    ka.aba-o-dair ke aivānoñ ke gire paḌe haiñ dar ke dar

    haj se jo koī aadmī ho to saarā aalam haj kare

    makke se aa.e shaiḳh lekin ve to vahī haiñ ḳhar ke ḳhar

    ranj-o-ta.ab meñ marte dekhe ham ne mumsik daulat-mand

    ke bhī abas jaate haiñ un logoñ ke zar ke zar

    muslim o kāfir ke jhagḌe meñ jang-o-jadal se rihā.ī nahīñ

    lothoñ pe lotheñ girtī raheñgī kaTte raheñge sar ke sar

    saḳht musībat ishq meñ ye hai jāneñ chalī jaatī haiñ lek

    haath saroñ par māreñge to band raheñge ghar ke ghar

    kab se garmi-e-ishq ne mere chashma-e-chashm ko ḳhushk kiyā

    kapḌe gale sab tan ke lekin ve haiñ ab tak tar ke tar

    nikle ab ke qafas meñ shāyad koī kalī to nikle 'mīr'

    saare tair shagufta chaman ke TuuTe ga.e ve par ke par

    ishq KHudai-KHarab hai aisa jis se gae hain ghar ke ghar

    kaba-o-dair ke aiwanon ke gire paDe hain dar ke dar

    haj se jo koi aadmi ho to sara aalam haj hi kare

    makke se aae shaiKH ji lekin we to wahi hain KHar ke KHar

    ranj-o-tab mein marte dekhe hum ne mumsik daulat-mand

    ji ke ji bhi abas jate hain un logon ke zar ke zar

    muslim o kafir ke jhagDe mein jang-o-jadal se rihai nahin

    lothon pe lothen girti rahengi kaTte rahenge sar ke sar

    saKHt musibat ishq mein ye hai jaanen chali jati hain lek

    hath saron par marenge to band rahenge ghar ke ghar

    kab se garmi-e-ishq ne mere chashma-e-chashm ko KHushk kiya

    kapDe gale sab tan ke lekin we hain ab tak tar ke tar

    nikle ab ke qafas mein shayad koi kali to nikle 'mir'

    sare tair shagufta chaman ke TuTe gae we par ke par

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1610

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now