jalwa nahin hai nazm mein husn-e-qubul ka
jalva nahīñ hai nazm meñ husn-e-qubūl kā
dīvāñ meñ she'r gar nahīñ nā’t-e-rasūl kā
haq kī talab hai kuchh to mohammad-parast ho
aisā vasīla hai bhī ḳhudā ke husūl kā
matlūb hai zamān-o-makān-o-jahān se
mahbūb hai malak kā falak kā ‘uqūl kā
ahmad ko ham ne jaan rakkhā hai vahī ahad
maz.hab kuchh aur hogā kisī bul-fuzūl kā
jin mardumāñ ko āñkheñ diyāñ haiñ ḳhudā ne ve
surma kareñ haiñ rah kī tirī ḳhaak dhuul kā
maqsūd hai 'alī kā valī kā sabhī kā tū
hai qasd sab ko terī razā ke husūl kā
qaaf
thī guftugū-e-bāġh-e-fadak jaḌ fasād kī
jaane hai jis ko 'ilm hai diiñ ke usuul kā
dā'vā jo haq-shanāsī kā rakhiye so is qadar
phir jān-būjh kariye talaf haq butūl kā
parvā-e-hashr kyā hai tujhe 'mīr' shaad rah
hai 'uzr-ḳhvāh-e-jurm jo vo tujh malūl kā
jalwa nahin hai nazm mein husn-e-qubul ka
diwan mein she'r gar nahin na’t-e-rasul ka
haq ki talab hai kuchh to mohammad-parast ho
aisa wasila hai bhi KHuda ke husul ka
matlub hai zaman-o-makan-o-jahan se
mahbub hai malak ka falak ka ‘uqul ka
ahmad ko hum ne jaan rakkha hai wahi ahad
mazhab kuchh aur hoga kisi bul-fuzul ka
jin marduman ko aankhen diyan hain KHuda ne we
surma karen hain rah ki teri KHak dhul ka
maqsud hai 'ali ka wali ka sabhi ka tu
hai qasd sab ko teri raza ke husul ka
qaf
thi guftugu-e-bagh-e-fadak jaD fasad ki
jaane hai jis ko 'ilm hai din ke usul ka
da'wa jo haq-shanasi ka rakhiye so is qadar
phir jaan-bujh kariye talaf haq butul ka
parwa-e-hashr kya hai tujhe 'mir' shad rah
hai 'uzr-KHwah-e-jurm jo wo tujh malul ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0665
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.