ji ke tain chhupate nahin yun to gham se hum
jī ke ta.iiñ chhupāte nahīñ yuuñ to ġham se ham
par tang aa ga.e haiñ tumhāre sitam se ham
apne ḳhayāl hī meñ guzartī hai apnī 'umr
par kuchh na pūchho samjhe nahīñ jaate ham se ham
zaanū pe sar hai qāmat-e-ḳham-gashta ke sabab
piirī meñ apnī aan lage haiñ qadam se ham
juuñ chakma mīr-e-hāj kā hai ḳhvār-e-jā-namāz
but-ḳhāne meñ jo aa.e haiñ chal kar haram se ham
rote bhī un ne dekh ke ham ko kiyā na rahm
ik chashm-dāsht rakhte the mizhgān-e-nam se ham
bad-'ahdiyāñ hī karte ga.e us ko sāl-o-māh
ab kab tasallī hote haiñ qaul-o-qasam se ham
zunnār sā bañdhā hai gale apne ab to kufr
badnām haiñ jahān meñ ‘ishq-e-sanam se ham
logoñ ke vasf karne se bālīdgī huī
juuñ shīsha phail phuuT paḌe un ke dam se ham
tarfeñ rakhe hai ek suḳhan chaar chaar 'mīr'
kyā kyā kahā kareñ haiñ zabān-e-qalam se ham
ji ke tain chhupate nahin yun to gham se hum
par tang aa gae hain tumhaare sitam se hum
apne KHayal hi mein guzarti hai apni 'umr
par kuchh na puchho samjhe nahin jate hum se hum
zanu pe sar hai qamat-e-KHam-gashta ke sabab
piri mein apni aan lage hain qadam se hum
jun chakma mir-e-haj ka hai KHwar-e-ja-namaz
but-KHane mein jo aae hain chal kar haram se hum
rote bhi un ne dekh ke hum ko kiya na rahm
ek chashm-dasht rakhte the mizhgan-e-nam se hum
bad-'ahdiyan hi karte gae us ko sal-o-mah
ab kab tasalli hote hain qaul-o-qasam se hum
zunnar sa bandha hai gale apne ab to kufr
badnam hain jahan mein ‘ishq-e-sanam se hum
logon ke wasf karne se baalidgi hui
jun shisha phail phuT paDe un ke dam se hum
tarfen rakhe hai ek suKHan chaar chaar 'mir'
kya kya kaha karen hain zaban-e-qalam se hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1166
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.