mare hi Dale hai jis ka zindagi mein iztirab
maare hī Daale hai jis kā zindagī meñ iztirāb
saath mere dil gaḌā to aa chukā marne kā ḳhvāb
Tuk Thahartā bhī to kahte thā kisū bijlī kī taab
yā ki nik.hat gul kī thā aaya gayā ahd-e-shabāb
kī namāz-e-sub.h ko kho kar namāz ishrāq kī
ho gayā mujh par sitam uchTā na Tuk mastī meñ ḳhvāb
dekhnā muñh yaar kā is vaj.h se hotā nahīñ
yā ilāhī de zamāne se uThā rasm-e-naqāb
zo.af hai is ke maraz aur is ke ġham se al-ġharaz
dil badan meñ aadmī ke ek hai ḳhāna-ḳharāb
yaar meñ ham meñ paḌā parda jo hai hastī hai ye
biich se uTh jaa.e to hove abhī raf.a-e-hijāb
sūrat-e-dīvār se muddat khaḌe dar par rahe
par kabhū sohbat meñ us kī ham hue na bāryāb
mai se tauba karte hī ma.aqūl agar ham jānte
ham pe shaiḳh-e-shahr barsoñ se kare hai ehtisāb
jam.a the ḳhūbāñ bahut lekin pasand us ko kiyā
kyā ġhalat maiñ ne kiyā ai 'mīr' vaqt-e-intiḳhāb
mare hi Dale hai jis ka zindagi mein iztirab
sath mere dil gaDa to aa chuka marne ka KHwab
Tuk Thaharta bhi to kahte tha kisu bijli ki tab
ya ki nikhat gul ki tha aaya gaya ahd-e-shabab
ki namaz-e-subh ko kho kar namaz ishraq ki
ho gaya mujh par sitam uchTa na Tuk masti mein KHwab
dekhna munh yar ka is wajh se hota nahin
ya ilahi de zamane se uTha rasm-e-naqab
zoaf hai is ke maraz aur is ke gham se al-gharaz
dil badan mein aadmi ke ek hai KHana-KHarab
yar mein hum mein paDa parda jo hai hasti hai ye
bich se uTh jae to howe abhi rafa-e-hijab
surat-e-diwar se muddat khaDe dar par rahe
par kabhu sohbat mein us ki hum hue na baryab
mai se tauba karte hi maqul agar hum jaante
hum pe shaiKH-e-shahr barson se kare hai ehtisab
jama the KHuban bahut lekin pasand us ko kiya
kya ghalat main ne kiya ai 'mir' waqt-e-intiKHab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1813
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.