Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda kare ki buton se na aashnai ho

Meer Taqi Meer

KHuda kare ki buton se na aashnai ho

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ḳhudā kare ki butoñ se na āshnā.ī ho

    ki phir mue bane hai agar judā.ī ho

    badan-numā hai har ā.īna lauh turbat

    nazar jise ho use ḳhaak ḳhud-numā.ī ho

    badī navishte tahrīr kyā karūñ apne

    ki naama pahuñche to phir kāġhaz-e-havā.ī ho

    faro na aave sar us tavāf-e-kā’ba se

    nasīb jis ke tire dar jab.ha-sā.ī ho

    hamārī chaah na yūsuf par hai kuchh mauqūf

    nahīñ hai vo to koī aur us bhaa.ī ho

    galī meñ us rahā ke jo koī so rahā

    vahī to jaave hai vaañ jis kisū aa.ī ho

    lab-e-savāl na ik bose ke liye kholūñ

    hazār mehr-o-mohabbat meñ be-navā.ī ho

    zamāna yaar nahīñ apne baḳht se itnā

    ki mudda’ī se use ek din laḌā.ī ho

    jafā-o-jaur-o-sitam us ke aap sahiye

    jo apne hausle meñ kuchh bhī ab samā.ī ho

    hazār mausam-e-gul to ga.e asīrī meñ

    dikhā.ī de hai mue pe ab rihā.ī ho

    chamakte dāñtoñ se us ke huī hai rū-kash 'mīr'

    'ajab nahīñ hai ki bijlī jag-hañsā.ī ho

    KHuda kare ki buton se na aashnai ho

    ki phir mue hi bane hai agar judai ho

    badan-numa hai har aaina lauh turbat ka

    nazar jise ho use KHak KHud-numai ho

    badi nawishte ki tahrir kya karun apne

    ki nama pahunche to phir kaghaz-e-hawai ho

    faro na aawe sar us ka tawaf-e-ka’ba se

    nasib jis ke tere dar ki jabha-sai ho

    hamari chah na yusuf hi par hai kuchh mauquf

    nahin hai wo to koi aur us ka bhai ho

    gali mein us ki raha ja ke jo koi so raha

    wahi to jawe hai wan jis kisu ki aai ho

    lab-e-sawal na ek bose ke liye kholun

    hazar mehr-o-mohabbat mein be-nawai ho

    zamana yar nahin apne baKHt se itna

    ki mudda’i se use ek din laDai ho

    jafa-o-jaur-o-sitam us ke aap hi sahiye

    jo apne hausle mein kuchh bhi ab samai ho

    hazar mausam-e-gul to gae asiri mein

    dikhai de hai mue hi pe ab rihai ho

    chamakte danton se us ke hui hai ru-kash 'mir'

    'ajab nahin hai ki bijli ki jag-hansai ho

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0923

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now