tegh ki naubat kab pahunche hai apne ji ki ghaarat mein
tegh ki naubat kab pahunche hai apne ji ki ghaarat mein
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
teġh kī naubat kab pahuñche hai apne jī kī ġhārat meñ
'āshiq-e-zār ko maar rakhe hai ek abrū kī ishārat meñ
guzariye gar dil meñ ho kar to ek nigāh zarūrī hai
kuchh kuchh tere ġham ne likhā hai aa kar vaañ kī 'imārat meñ
suukh ke maiñ to 'ishq ke ġham meñ ḳhas kī misāl haqīr huā
vo taqsīr nahīñ kartā hai ab tak merī hiqārat meñ
ek bagūlā saath mujhe bhī turbat-e-qais pe le aayā
kitne ġhazāl nazar vaañ aa.e the mashġhūl ziyārat meñ
dil ko aag ik dam meñ de dī ashk hue chingārī se
kyā hī sharīr hai shoḳhī-e-barq milā.ī un ne sharārat meñ
shaiḳh jo thā dīdār-e-butāñ kā munkir aisā thā mā'zūr
dil ko basīrat thī nā us ke be-nūrī thī basārat meñ
ḳhatt-o-kitābat ek taraf hai daftar likh likh bheje 'mīr'
kahiye kuchh jo sarīr-e-qalam kī kotāhī ho sifārat meñ
tegh ki naubat kab pahunche hai apne ji ki ghaarat mein
'ashiq-e-zar ko mar rakhe hai ek abru ki ishaarat mein
guzariye gar dil mein ho kar to ek nigah zaruri hai
kuchh kuchh tere gham ne likha hai aa kar wan ki 'imarat mein
sukh ke main to 'ishq ke gham mein KHas ki misal haqir hua
wo taqsir nahin karta hai ab tak meri hiqarat mein
ek bagula sath mujhe bhi turbat-e-qais pe le aaya
kitne ghazal nazar wan aae the mashghul ziyarat mein
dil ko aag ek dam mein de di ashk hue chingari se
kya hi sharir hai shoKHi-e-barq milai un ne shararat mein
shaiKH jo tha didar-e-butan ka munkir aisa tha ma'zur
dil ko basirat thi na us ke be-nuri thi basarat mein
KHatt-o-kitabat ek taraf hai daftar likh likh bheje 'mir'
kahiye kuchh jo sarir-e-qalam ki kotahi ho sifarat mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1187
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.