Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yak umr dida-ha-e-sitam-dida tar rahe

Meer Taqi Meer

yak umr dida-ha-e-sitam-dida tar rahe

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    yak umr dīda-hā-e-sitam-dīda tar rahe

    āḳhir ko phuuT phuuT bahe qahr kar rahe

    ham ne bhī nazr hai phireñge chaman ke gird

    aane ta.iiñ bahār ke gar bāl-o-par rahe

    kyā kahiye tere vāste ai māya-e-hayāt

    kyā kyā aziiz apne ta.iiñ maar mar rahe

    marte bhī apne haa.e vo hāzir na ho sakā

    ham ishtiyāq-kash to bahut muhtazar rahe

    murġhān-e-bāġh rahte haiñ ab ghere yuuñ mujhe

    mātam-zadoñ ke halqe meñ juuñ nauhagar rahe

    āġhosh us se ḳhālī rahī shab to tā-sahar

    jeb-o-kanār girya-e-ḳhūnīñ se bhar rahe

    naqsh-e-qadam ke taur tire ham haiñ pā.emāl

    ġhālib hai ye ki der hamārā asar rahe

    ab sabr-o-hosh-o-aql mere ye hai ma.āsh

    juuñ qāfila luTā kahīñ aa kar utar rahe

    lākhoñ hamāre dekhte ghar-bār se ga.e

    kis ḳhānumāñ-ḳharāb ke ve ke ghar rahe

    aatā kabhū to naaz se dikhlā.ī de bhī

    darvāze or kahāñ tak nazar rahe

    rakhnā tumhāre paañv khotā hai sar se hosh

    ye chaal hai to apnī kise phir ḳhabar rahe

    kyā bad-balā hai laag bhī dil ki 'mīr'

    dāman-savār laḌkoñ ke ho kar nafar rahe

    yak umr dida-ha-e-sitam-dida tar rahe

    aaKHir ko phuT phuT bahe qahr kar rahe

    hum ne bhi nazr ki hai phirenge chaman ke gird

    aane tain bahaar ke gar baal-o-par rahe

    kya kahiye tere waste ai maya-e-hayat

    kya kya aziz apne tain mar mar rahe

    marte bhi apne hae wo hazir na ho saka

    hum ishtiyaq-kash to bahut muhtazar rahe

    murghan-e-bagh rahte hain ab ghere yun mujhe

    matam-zadon ke halqe mein jun nauhagar rahe

    aaghosh us se KHali rahi shab to ta-sahar

    jeb-o-kanar girya-e-KHunin se bhar rahe

    naqsh-e-qadam ke taur tere hum hain paemal

    ghaalib hai ye ki der hamara asar rahe

    ab sabr-o-hosh-o-aql ki mere ye hai maash

    jun qafila luTa kahin aa kar utar rahe

    lakhon hamare dekhte ghar-bar se gae

    kis KHanuman-KHarab ke we ja ke ghar rahe

    aata kabhu to naz se dikhlai de bhi ja

    darwaze hi ki or kahan tak nazar rahe

    rakhna tumhaare panw ka khota hai sar se hosh

    ye chaal hai to apni kise phir KHabar rahe

    kya bad-bala hai lag bhi dil ki ki 'mir' ji

    daman-sawar laDkon ke ho kar nafar rahe

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now