aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

29

MORE BYZeeshan Sahil

    ḳhvāb jaisī kahīñ kahīñ shāyad

    zindagī hai magar nahīñ shāyad

    maiñ akelā huuñ aur lagtā hai

    jaise hai abhī yahīñ shāyad

    jis mohabbat hai gumāñ mujh ko

    us pe tujh ko bhī hai yaqīñ shāyad

    nazm jaisā hai āsmāñ merā

    giit jaisī tirī zamīñ shāyad

    maiñ tujhe bhuul jaanā chāhtā huuñ

    maiñ tujhe yaad aanā chāhtā huuñ

    KHwab jaisi kahin kahin shayad

    zindagi hai magar nahin shayad

    main akela hun aur lagta hai

    jaise tu hai abhi yahin shayad

    jis mohabbat ka hai guman mujh ko

    us pe tujh ko bhi hai yaqin shayad

    nazm jaisa hai aasman mera

    git jaisi teri zamin shayad

    main tujhe bhul jaana chahta hun

    main tujhe yaad aana chahta hun

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 607)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now