aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-madh-am

Khalid Mahmood

dar-madh-am

Khalid Mahmood

MORE BYKhalid Mahmood

    shāh-e-avadh se phone pe kal maiñ ne baat

    ism-e-girāmī shaah abdussalām hai

    pūchhā ki lucknow meñ haiñ maiñ ne kahā ki haañ

    bole ki ye batā.iye kai din qayām hai

    maiñ ne kahā ki aaj aayā huuñ yā-aḳhī

    yuuñ to ḳhulūs-e-shāh meñ kis ko kalām hai

    lekin ye aane vaale se jaane pūchhnā

    kyā is meñ koī raaz hai kuchh payām hai

    bole ki rāz-vāz to kuchh bhī nahīñ hai bas

    sunday shaam pāñch baje izn-e-ām hai

    maiñ tum ko lene vaqt pe pahuñchūñgā aur tum

    milnā saḌak pe jo ki tumhārā maqām hai

    maiñ ne kahā ki maiñ bhii, to bole ki haañ zarūr

    ye kyuuñ samajh rahe ho ki izn-e-ta.ām hai

    hotā agar ta.aam tumheñ kaun pūchhtā

    is fasl meñ bas aam guThlī ke daam hai

    tum ne takallufan bhī jo inkār kar diyā

    ġhālib vo javāb ba-zehn-e-avām hai

    al-qissa un ke saath chalā aayā paḳh banā

    ḳhachchar ke ās-pās jis maqām hai

    paḳh se agar kisī ko koī buġhz ho to ho

    ġhālib ke is gad.he se to behtar ye naam hai

    dekhā yahāñ jo aa ke to sab bhāñt-bhāñt ke

    aamoñ chaar samt baḌā izhdihām hai

    maiñ bhī sharīk ho gayā bos-o-kanār meñ

    har aam khāne vaale ye tarz-e-ām hai

    chausā dasharī ho ki safeda ho ek ek

    chiknā rasīlā shīrīñ-dahan zard-fām hai

    har samt guThliyoñ ke vo ambār haa.e haa.e

    dil chhilke chhilke ho gayā ibrat-maqām hai

    dil ne kahā miyāñ ye kahāñ le ke aa ga.e

    dāvat nahīñ ye aam ye qatl-e-ām hai

    maiñ ne DapaT ke dil se kahā chup ḳhamosh rah

    rakh kaam apne kaam se terā jo kaam hai

    bhī to ek guThlī-e-be-chhilkā to hai

    aur vo bhī be-miThās baḌā terā naam hai

    tujh se to baḌh ke aam guThlī hai kuchh sunā

    miTTī meñ daab do to phir ik puurā aam hai

    har lahza piitā rahtā hai ghūñT ḳhuun ke

    aur aam aam nahīñ bharpūr jaam hai

    dar-dast jām-e-ām hai aur to hai dar-baġhal

    terī to ek buuñd bhī mujh par harām hai

    dil ne kahā ki ḳhair tujhe kyā javāb duuñ

    jab ash.hab-e-qalam tirā be-lagām hai

    merā to ḳhuuñ harām hai tujh par halāl-ḳhor

    terī ragoñ meñ kis lahū tez-gām hai

    aatī nahīñ hai mujh ko ye bahr-ul-fasāhatī

    banda abul-kalām na abdul-kalām hai

    vaqt falsafe paḌhāne lagā sabaq

    sab mahv-e-ām aur mahv-e-kalām hai

    dil ke balīġh tanz se meñ saTpaTā gayā

    shāyad ki ye amal bhī himāqat ke naam hai

    ab jo nazar uThā ke udhar se idhar tilak

    dekhā to ām-vām qissa tamām hai

    shah-e-awadh se phone pe kal main ne baat ki

    ism-e-girami shah ka abdussalam hai

    puchha ki lucknow mein hain main ne kaha ki han

    bole ki ye bataiye kai din qayam hai

    main ne kaha ki aaj hi aaya hun ya-aKHi

    yun to KHulus-e-shah mein kis ko kalam hai

    lekin ye aane wale se jaane ka puchhna

    kya is mein koi raaz hai ya kuchh payam hai

    bole ki raaz-waz to kuchh bhi nahin hai bas

    sunday ki sham panch baje izn-e-am hai

    main tum ko lene waqt pe pahunchunga aur tum

    milna saDak pe jo ki tumhaara maqam hai

    main ne kaha ki main bhi, to bole ki han zarur

    ye kyun samajh rahe ho ki izn-e-taam hai

    hota agar taam tumhein kaun puchhta

    is fasl mein bas aam hi guThli ke dam hai

    tum ne takallufan bhi jo inkar kar diya

    ghaalib ka wo jawab ba-zehn-e-awam hai

    al-qissa un ke sath chala aaya paKH bana

    KHachchar ke aas-pas hi jis ka maqam hai

    paKH se agar kisi ko koi bughz ho to ho

    ghaalib ke is gadhe se to behtar ye nam hai

    dekha yahan jo aa ke to sab bhant-bhant ke

    aamon ka chaar samt baDa izhdiham hai

    main bhi sharik ho gaya bos-o-kanar mein

    har aam khane wale ka ye tarz-e-am hai

    chausa dashari ho ki safeda ho ek ek

    chikna rasila shirin-dahan zard-fam hai

    har samt guThliyon ke wo ambar hae hae

    dil chhilke chhilke ho gaya ibrat-maqam hai

    dil ne kaha miyan ye kahan le ke aa gae

    dawat nahin ye aam ki ye qatl-e-am hai

    main ne DapaT ke dil se kaha chup KHamosh rah

    rakh kaam apne kaam se tera jo kaam hai

    tu bhi to ek guThli-e-be-chhilka hi to hai

    aur wo bhi be-miThas baDa tera nam hai

    tujh se to baDh ke aam ki guThli hai kuchh suna

    miTTi mein dab do to phir ek pura aam hai

    har lahza pita rahta hai tu ghunT KHun ke

    aur aam aam hi nahin bharpur jam hai

    dar-dast jam-e-am hai aur to hai dar-baghal

    teri to ek bund bhi mujh par haram hai

    dil ne kaha ki KHair tujhe kya jawab dun

    jab ashhab-e-qalam hi tera be-lagam hai

    mera to KHun haram hai tujh par halal-KHor

    teri ragon mein kis ka lahu tez-gam hai

    aati nahin hai mujh ko ye bahr-ul-fasahati

    banda abul-kalam na abdul-kalam hai

    na waqt falsafe ka paDhane laga sabaq

    sab mahw-e-am aur tu mahw-e-kalam hai

    dil ke baligh tanz se mein saTpaTa gaya

    shayad ki ye amal bhi himaqat ke nam hai

    ab jo nazar uTha ke udhar se idhar tilak

    dekha to aam-wam ka qissa tamam hai

    Tagged Under

    Aam
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now