ab nahin lauTna
maiñ bahut duur thā
jab pukārā gayā hāzirī ke liye
doctor
ek ThanDā badan
tez bijlī ke jhaTke
ab magar mujh meñ us jism ko
garm karne kī koī bhī ḳhvāhish na thī
zindagī kaT ga.ī
DhūñDte DhūñDte vo register
ki jis meñ mirā naam maujūd ho
aur mirī hāzirī lag sake
par kisī ne pukārā nahīñ merā naam
nahīñ lauTnā
ab mujhe is zamīñ par nahīñ lauTnā
hāzirī ke baġhair
is zamīñ se mirā lauTnā hī ye sābit karegā
ki maiñ ik farishta thā
aur is jahāñ meñ ġhalat aa gayā thā
main bahut dur tha
jab pukara gaya haziri ke liye
doctor
ek ThanDa badan
tez bijli ke jhaTke
ab magar mujh mein us jism ko
garm karne ki koi bhi KHwahish na thi
zindagi kaT gai
DhunDte DhunDte wo register
ki jis mein mera nam maujud ho
aur meri haziri lag sake
par kisi ne pukara nahin mera nam
nahin lauTna
ab mujhe is zamin par nahin lauTna
haziri ke baghair
is zamin se mera lauTna hi ye sabit karega
ki main ek farishta tha
aur is jahan mein ghalat aa gaya tha
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 111)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.